
Migraine ke ilaj ke liye kuch tips aur tarike jo aapko pata hone chahiye. Migraine Neurological yani brain se juda ek disorder hain. Isme seer ek hisse mein tez dard hota hain. Yeh dard kuch ghanto se lekar kai dino tak ho sakta hain. Itna hi nahi isse peedit vyakti Light, Sound, Smell aur Environments ke prati kafi sensitive ho jata hain. Asal mein Migraine dimaag ki kuch dhamniyo ki sujan aur kuch chemicals ke bahaav ki wajah se hota hain. In Chemicals ka bahaav allergy, tension, Masik dharm ya lambe samay tak bhookhe rahne se ho sakta hain. Iske alawa khan-pan ki badalti aadte bhi is bimari ki wajah ban sakti hain. Kai baar Heredity (Anuvansikta) aur High-blood pressure ke karan bhi vyakti Migraine ka shikar ho jata hain. Migraine ka dard kabhi bhi aur kanhi bhi uth sakta hain, Isliye ise door karne ke liye iske upay ke baare mein janna bahut jaroori hain.